Hast Rekha Vigyaan - Jaaniye 
Hast Rekha Gyaan 2021

Jaaniye Hast Rekha Vigyaan ke baare me, What is Hast Rekha Gyaan in Hindi ?

Agar hum jyotish Shastro ki baat kare to Hast Rekhaka isme bahut mehatvpoorn yogdaan hai, Hast Rekha dekhkar ise jaanne waale kisi bhi vyakti ke bhavishya ke baare me jaankari pradaan kar sakte hai. Jo Hast Rekha ke jaankaar hote hai, wo kisi bhi vyakti ke hath ka size usme maujood lakiroo ko analyze karke use uske bhavishya ke baare me sampoorn jaankari de sakte hai. To aaj is article me aapko Hast Rekha Vigyaan ke baare me sampoorn jaankari di jayegi.

Hast Rekha Vigyaan

Hath ki Mukhya lakir (Main Line of Hand)

Hath ki mukhye rekhaon me 3 sabse main hoti hai -

  • Jeewan Rekha
  • Hrdya Rekha (Heart Line)
  • Sir Rekha (Head Line)
In teeno rekhaon ki madad se koi bhi Hast Rekha ka jaankar kisi bhi vyakti ke swabhav aur bhavishye ke baare me jaankari pradan kar sakta hai. To is article me mai aapko Hast Rekha Vigyaan ke baare me acche se jaankari dunga.

1. Jeewan Rekha : Agar hum Jeewan Rekha ki baat kare to ye Tarjani ungli (Point Finger) aur angoothe ke beech se shuru hokar angoothe ke base tak jaati hai, aap agar ise dhyaan se dekh kar samjhe to agar ye lambi hai to vyakti ka jeewan lamba aur swasth hoga. Lekin agar ye rekha chooti hai to iska matlab ye hai ki vyakti ko jeewan me bahut baar aswasth (unhealthy) rehne ki shikayaat hogi. Ab agli cheez jo Hast Rekha ka jaankar dekhta hai ki yeh jeewan rekha kitni gaadi hai aur kitni halki hai. 

Agar Jeewan rekha gaadi hai to vyakti ke jeewan me bahut hi romanch (Adventures) hota hai. Lekin dusri taraf agar halki hai to bahut kam romanch hota hai. Ab dhyaan se dekhne par agar kisi vyakti ki jeewan rekha 2 ya 3 rekhao se mili hui hai to uska jeewan bahut hi positiveness se bhara hoga.

Hast Rekha Vigyaan - Jeewan Rekha

2. Heart Line: Agar is line ki baat kare to ye Tarjani ungli (Point Finger) se lekar sabse chhoti ungli tak jaati hai. Agar aap ise dhyaan se dekhe to ye rekha agar lambi hai to veh vyakti open heart yani ki ek dum khule dil ka hota hai. Ab ye line agar kuch zyada hi lambi hai matlab ki dono taraf se hath ke kinare tak pahuch rahi hai to iska matlab hai veh vyakti apne parter par poora nirbhar hota hai. 

Lekin agar yeh rekha chooti hai to iska matlab ye hai ki veh vyakti khud par hi vishvash karta hai kisi aur par nirbhar nahi hai. Ab agar ye rekha ek dum seedhi hai aur sath hi sath chhoti hai to iska matlab hai ki veh vyakti ek dum romantic nahi hai.

Hast Rekha Vigyaan - Heart Line

3. Mastishk Rekha (Head Line): Is rekha ki agar baat kare to ye tarjani ungli (Point Finger) se hokar chhoti ungli ke neeche ki taraf jaati hai. Ab ise agar aap dhyaan se dekhe aur agar ye rekha lambi hoti hai to vo vyakti ki yadash bahut tez hoti hai, aur veh vyakti apna kaam karne se pehle uspar bahut baar vichar karta hai. Ab ye rekha agar ek taraf se dusri taraf dono kinaro ki taraf pahunch jaati hai to wo viyakti bahut succsessfull aur bahut sahasi bhi hota hai. 

Ab agar ye Hast Rekha ek dum seedhi hogi aur lambi hogi to veh vyakti ke vichar bahut uljhe hue hote hai. Agar ye rekha me thoda curve aa raha ho to veh vyakti bahut hi creative dimag ka hota hai. Aese vyaktio ke dimag me koi na koi naye vichar aate rehte hai.

Hast Rekha Vigyaan - Head Line

4. Surya Rekha: Agar ham Surya Rekha ki baat Karen, to yeh Rekha Sabhi vyaktiyon Ke Hath Mein Nahin Hoti Hai. Agar aapke Hath Mein Surya Rekha hai To samajh jaaiye aapke Jivan mein safalta Aane Wali Hai, yah Aati rahti hai. Kyunki yah Rekha safalta Ko darshati Hai. Agar Kisi vyakti ke Hath Mein Surya Rekha hoti hai to vah vyakti bahut hi creative Hota Hai, vah atmavishwas se Bhara Hota Hai, vah Apne Action Plan per Hamesha kam karta rahata hai. lekin Aisa Bhi Hota Hai Agar is Rekha ke upar alag alag rekhayen a Jaati Hai to iska matlab hai vah vyakti na Kamyab hoga aur uska Jeevan bimariyon se Bhara hoga.



5. Breslet Lines:  Agar ham bracelet line Ki Baat Karen, yah aapko Apne Hath Ki Kalai per dikhegi. Agar yah rekhaen aapko apni Kalai per ek dam clear dikhti hai to aap samajh jaaiye ki aapka Jivan Swasth rahega. Yadi yah rekhayen bich bich Mein Tuti Hui hoti hai to iska matlab hai vyakti Apne Swasthya par Dhyan Nahin deta hai aur use Dena Jarur chahie.

Yadi kisi vyakti ke Hath Mein 2 bracelet line hai aur dusri bracelet line ekadam saaf hai to uska Jeevan Arthik Roop se Kafi Behtar hoga, aur use safalta hi Milenge, Sath hi Sath vah vyakti Jivan Mein Sukh ka Anubhav Karega.

Yadi kisi vyakti ke Hath Mein 3 bracelet line hai aur Teesri bracelet line ekadam saaf dikhti hai iska matlab hai vah samaj mein Ek aadarniy vyakti ke roop mein Alag dikhega.



6. Baccho ki Rekhaye: Agar Ham bacchon ki rekhaen ki baat Karen yah rekhayen Chhoti ungli ke theek niche hoti hain.  In Rekhao ki madad se yah Pata Chalta Hai Ki koi bhi vyakti Apne bacchon ke Prati kitna jimmewar hai.  Sath hi Sath in rekhaon ki madad se Aane Wale bacchon ke Swasthya ke bare mein bhi Pata Chalta Hai.


Hast Rekha Vigyaan - Santan Rekha


7. Bhagya Rekhaye: Agar Ham hatheli ke bicho bich Ankit Rekhao ko Dekhen to inhen Bhagya Rekhae Kahate Hain. In Ankhon Ki madad se vyakti ke Bhagya Ka Pata Lagaya Ja sakta hai, Sath hi Sath in Rekhao ki madad se Kisi vyakti ke Jivan mein Aane Wale Sankato Ka bhi pata Lagaya Ja sakta hai. Yadi yah rekhayen ekadam Saral hoti hain, Tu samajh jaaiye vyakti ka Bhagya santushti Bhara hoga. Lekin Agar in Rekha Hoon Main bich bich mein aapko Agar cut Najar Aaye Tu samajh jaaiye vyakti ka Bhagya mushkilo se Bhara Hua ho sakta hai.


Hast Rekha Vigyaan - Bhagya Rekha

8. Brihaspati Rekha: kisi ke vyavhar ko pata karne ke liye, Brihaspati Rekha Ko Dekha jata hai.  Yah Bhi Ek mahatvpurn Rakha Hai.  Agar aapke hatheli par Brihaspati Rekha hai to aapka aacharan aarakshak swabhav ka hoga.


9. Swasthya Rekha: Is Rekha ko dekhne ke liye aapko apni Chhoti ungali Ke Niche dekhna hoga Kyunki yah Chhoti ungali Se Shuru hokar niche ki taraf Jaati Hai.  Swasthya Rekha ka dusra Naam "line of liver"  bhi Hota Hai.  Yah Rekha vyakti ke Swasthya ke bare mein Jankari Deti Hai.



Hast Rekha vigyaan - hast rekha gyaan

10. Sahaj Rekha: Sahaj Rekha Ko Agar Ham Dhyan se Dekhen to yah Chhoti ungali Se Shuru hoti hai aur hatheli ke kinare per mud Jaati Hai.  Yah Rekha bahut hi Halki dikhti hai.  Agar yah Rekha aap ki hatheli mein hai to aapka nature bahut sensitive Hota Hai.  Aise log Bheed me Jaane mein bahut Dar Ka mahsus Hota Hai.

11. Prem ki Rekha: Is Rekha ko aap Chhoti ungli Ke Niche Hi dekh sakte hain,  yah Rekha Ek Ya ek se Adhik bar bhi dikhti hai.  Yadi yah Rekha gehri hai aur lambi hai, to vah vyakti Apne relation ko prathmikta  aur ahmiyat bahut deta hai.  Lekin Agar yah Rekha Chhoti hai aur Halki hai to iska matlab hai ki vyakti Apne Vivah  yah relation ko Jyada Lambe Samay Tak Nahin Chala sakta hai.

12. Simian Rekha: Agar Ham Simian Rekha ki baat Karen yah Rekha bahut kam Logon Mein likhi jaati hai. Lekin yah Rekha jis vyakti ke Hath Mein hoti hai main both Jiddi Hota Hai.  Aise log jo Hamesha Dil aur dimag se Chalte Hain, unhen dusron se koi matlab Nahin Hota.  Aise log bahut hi tension me rahte hain. 

13. Ring of Solomon: Yah Rekha Tarjani ungali ( Point finger) ke theek niche hoti hai. Agar yah Ring of Solomon kisi ke Hath Mein hoti hai to vyakti me leadership quality hoti hai.  Aise vyakti bahut hi jyada samajhdar Hote Hain, aur yah Jivan mein kisi Vishesh pad mein Jarur Shamil Hote Hain.

14. Shani ki Rekha: Agar Ham Shani ki Rekha ki baat Karen yah Anamika ungli ke theek niche hoti hai.  Aise vyakti Jinke Hath Mein Shani ki Rekha hoti hai Aksar nakhush rahte hain, aur Aksar Gambhir  vyavhar wale vyakti Hote Hain.

15. Ring of Apollo: Yah  Rekha Anamika ke Agali Wali ungali Ke Niche hoti hai,  Agar yah Rekha Kisi vyakti ke Hath Mein hoti hai to vah vyakti bahut hi jyada creative aur sakaratmak Soch wala vyakti Hota Hai. 

Post a Comment

Please do not enter any SPAM LINK in Comment Box.

Previous Post Next Post